Pages

Saturday, June 9, 2012

Kuch unjaane log



Kuch alg hi ehsaas hota hai kisi ke hone ka. 
Koi ho jo hath pakde, uske sath beth ke hum vo sb keh sake jo khud se kehne mai bhi sharm aati hai. Use dekh ke muskurane ka mann kare, or jb 
vo mile toh bus haste hasate hi waqt 
bit jaye. Koi ho jo jina haram kare tumhara, naak me dum kar de. Vo rishta kya hai mujhe ye nahi pta, par vo rishta hai mere pass. Kabhi ye rishta lehro ki trha aata jata hai toh kabhi vo rishta samundar ki ret ki trha zindagi ke kinaro pe hi reh jata hai. Kabhi vo rishta ese hi kisi ke sath bann jata hai, toh kabhi vo rishta hi jeene ki vajah bann jata hai.

Kabhi hum bus sochte reh jate hai toh kabhi kuch socha hi nahi jata. Kyu btau uske baare mai jis rishte ka naam hi nahi, par btana chahta hu  kyuki vohi ek rishta hai jisse mera naam abhi  tk hai. Din bete hai saal biti hai par kahaniya humne bhi khoob likhi us rishte ki chah mai. Zindagi beet toh jayegi is chah mai ki ek naya anjana rishta fir bann jayega, par vo hasi ka shor is sannate mai kese aayega.
                                                                                                     
Suna krta tha jinko mai vo aaj kahi durr ja chuke hai, par mene fir bhi is dil ko dhadkna sikha diya. Waqt bita or  zindagi apni hi masti mai chalne lagg gai, kabhi kabhi yad kr lia krte the unhe jo aakho mai ab nahi hai. Ab jab sab boht dur hai toh yad sbki aati hai, kya kare bus dikha skte hai hum unko ke unki dosti hi itni pyari hai ke aakele mai bhi hasi aa jati hai. Such hai ye ke sath unka boht hi hasin tha, par ek such ye bhi hai ke vo ab sath nahi. Kuch such itne kadve ho jate hai ke fir chote se palo ki mithas bhi achi nahi lagti.  Ek aasu hota hai aakho mai par unke na hone ki kadvaht itni hoti hai ke vo aasu nikalte hi nahi. Zindagi chale toh bhi dukh hota hai or kahi kisi pal pe aa ke ruk jaye toh jine ka mann hi nahi karta.

Kai log ese bhi milte hai jinke hone ka ehsaas ho toh hi jine ka maza aata hai, ek pyaari c muskan toh de dete hai vo, par bichadne ke baad usi muskan ko khojne mai zindagi beet jati hai. Mosm badlte hai har saal, logo ko khub acha lagta hai, par mosm ke sath jb log badlte hai toh kisi ko ache nahi lagte. Haan ek such mera bhi hai in kahanio mai jo sb ke such jesa kadva hi hai. Haan ek aasu mera bhi aakho mai jo har dard jesa hi gehra hai. Sawal mera kisi se nahi khud se hai ke ye aasu kyu hai abhi bhi in aakho mai kisi ke na hone ka.